Just For You


Dosti Ke Nama

Koi naya dost mile to hume bhool na jana
bich safar mein hume chhod ke na jana
dosti ki hi to dil se nibhana

Bahane bahane se aapki baat karte hai,
Har pal aapko mehsus karte hai,
Itni baar to aap saans bhi nahi lete honge,
Jitni baar hum aaapko yaad karte hai….

Yakeen to humein sir tum pe hai
Varna na jaane yahan kitne chehre hai
Hum to wada karte hain dosti kaa
Bas aap se bhi dost kehlane ki aas hai

Dosti naam hai sukh dukh ki kahani ka
Dosti naam hai sada muskurany ka
Ye koi pal bhar ki pehchan nahi
Dosti naam hai sada sath nibhana ka

Her Qarz Dosti Ka Ada Kon Kary Ga
Hum Na Hon Gay Tu Wafa Kon Kary Ga
Ya Rab Mery Doston Ko Sada Salamat Rakhna
Warna Mere Marny Ki Duwa Kon Kare Ga

Guzre huye kal ki yaad aati hai...
Kuch lamho se aankhein bhar aati hai...
Woh rangeen shaam nirali doob jaati hai....
Jab aap jaise DOST ki yaad aati hai...!!!

Khamosh Raat Ke Pehalu Mein Sitare Nahi Hote,
In Rukhi Aankho Me Rangin Nazare Na Hote...
Ham Bhi Na Karte Parwah Aap Ki,
Agar Aap Humko Pyare Na Hote...........


Dil Ki Dastan


Pucho na us kagaj se,jis pe hum dil ke bayan likhte hai,Tanhayino me beeti baate tamam likhte hai,Wo Kalam bhi dewani ho gayi,jis se hum AAP ka Naam likhte hai.

Unka waada hai ki vo laut ayenge,issi umeed par hum jiye jayenge,yeh intezaar bhi unhi ki tarah pyaara hai,kar rahe the, kar rahe hai or kiye jayenge.

Banane me mazaa hain wo kaar-khaane jaante hain
Pilane me jo mazaa hain wo may-khaane jaante hain
Jalne me jo mazaa hain wo  parwaane jaante hain
Arre yaaro..
pyar me jo mazaa hai wo deewaane jaante hain...

Aao Phir Nazm Kahen
Phir Kisi Dard Ko Sahla Ke Suja Le Ankhen
Phir Kisi Dukhti Rag Se Chhua De Nashtar
Ya Kisi Bhooli Huee Raah Pe Mudkar
Ek Baar Naam Lekar Kisi Hamnam Ko Awaz Hi De Le
Phir Koi Nazm Kahen

mausam ko isharon se bula kyun nahi lete
rootha hai agar woh, to manaa kyun nahi lete

diwana tumhara koi gair nahi hai
machalaa bhi to seene se lagaa kyun nahi lete

khat likh kar kabhi aur kabhi khat ko jalaakar
tanhaayi ko rangeen banaa kyun nahi lete

tum jaag rahe ho mujh ko achhaa nahi lagta
chupke se meri neend chura kyun nahi lete


Dard-A-Dil


Waqt ke naye panno pe mohabbat ke taaza nagme nahi honge,
Shama kahi reh jaayegi, parwaane kahi aur honge
Milne ko do dil bahut bechain hongen
Par milne ke koi bahane nahi honge.

khusiyo se naraz hai meri zindagi
pyar ki mohtaz hai meri zindagi
has leti hui kabhi logon ko dekh kar
warna dard ki kitab hai meri zindagi

Kya Karoo Dil Ne Kiya Majboor,,,,,,,,,,,,,,,,,
Aur Mujhe Mohabbat Kisi Se Bepanaah Ho Gayi.
Uske Saath Ke Liye ,apna Saaya Bhej Raha Hoon,
Par Aaj Main Tanha Se Aur Tanha Ho Gaya Hoon.

waqt To Hume Bhula Chuka Hai,kahin Mukaddar Bhi Na Bhula De,pyaar Hum Iseliye Nahin Karte,kyon Ki Darte Hain Koi Fir Se Na Rula De

Toote Ashkon Ke Moti Hum Piro Na Sake,Tere Yaad Mein Raat Bhar So Na Sake,Bheeg Na Jai Ansuon Mein Tasveer Teri,Bass Yehi Soch Kar Hum Roo Na Sake

Yaad Na Karoge,To Bhula Bhi Na sakoge,Mera Khayal Zehan Say Mita Bhi Na Sakoge.ek Bar Jo Tum Mera Gam Dekh lo,To Sari Zindagi Muskara Na Sakoge

Mere Jaane Ke Baad Mera jaane ka Gam Na Karna,
Par Apne Dil Mein, Tum Pyaar Kam Na Karna,
Zindagi To Ruk Gayi Lekin Maut Ko Kaise Rokein,
Sehe-rao-ki Hawayein Le Aayenge Mere Yaadon Ke Jhonke..


Hasi Ke Bol


Tumko dekha to yeh khayaal aaya
Ki kal raat ko maine itna kyon khaaya

Tumsa koi dusara zamin par ho to rab se shikayat hogi,
tumsa koi dusara zamin par ho to rabse shikayat hogi,
Ek to jhela nahi jata dusara aa gaya ye kam baat hogi.

Majnu Laila ke baal pakad ke bola
Moya kitne din se sar nahin dhoya

Mere Dost Mere Chale Jaane Key Baad Aansu Na Bahana...
Agar Meri Yaad Aaye to Sidhe Upar Chaley Aana

Duniya mein bewafaon ki kami nahin hai.
Ab suraj ko hi dekh lo-
Aata hai Usha ke saath,
Rehta hai Kiran ke saath,
Aur jaata hai Sandhya ke saath!

Lohe ko Loha kat ta hai ...
Sone Ko Sona Kat ta hai...
Jaher ko Jaher kat ta hai...
Isliye apko Kutta katega

Ladka apni dilruba se pooch raha hai
Kya pyaar karna paap hai?
Kya pyaar karna paap hai?
Ladke ka dost uske kaan mein bolta hai






No comments:

Post a Comment